Tukda tukda jalta hain dil
Jalta koi khawaab hain..
Jabki channd jalta rha raat bhar..
Fir kyu roshan jajbaat hain..
Bhul jaaye kaise koi khud KO..
Yaadein itni behisaab hain..
Parinde laut kar nhi aate hain kuch..
Sookh jata intzaar main jhaad hain..
Har raha chale,har marz shae..
Samjha na koi humara Jo raaz hain..
Muskurane ko bol na Dena ab..
Ki hoth mere naraaz hain..
Na baat koi, na saath koi..
Na hi koi aawaz hain..
Kuch chalta hain ab bas to..
In dhadkaon ka saaz hain..
Tukda tukda jalta hain dil..
No comments:
Post a Comment