मेरा पन्ना

Sunday, December 2, 2012

aaj bas main hoon

aaj na sikwa koi..na koi sikayat baaki hain
aaj na pyaar kisi se.. na kisi se naarajigi hain
aaj na dar kisi ka... na kisi ki chaaplushi hain..
aaj to bas main hoon aur meri kahmoshi hain

aaj na hosh koi.. na koi madhoshi hian
aaj na dosh tera.. na meri galti hain..
aaj na sanjog koi.. na koi badnasibi hian..
aaj t bas main hoon aur meri kamoshi hain

aaj na gum koi.. na koi khushi hain..
aaj na yaad koi.. na koi mustaqbilishi hain
aaj na duniya anjaani.. na  pehchaani si hain..
aaj to bas main hoon aur meri khamoshi hain..

aaj na dosti kisi se.. na koi dushmani hain..
aaj na sarafat baak..i na baaki aawargi hain..
aaj na chinta kisi ki. .na baaki befikri hain
aaj to bas mian hoon aur meri khamoshi hain..


3 comments: