मेरा पन्ना

Thursday, March 3, 2016

Dafan

Jindgi se chalte hain maut ki tarf..
Aur kehti hain duniya ki kya jiye ho.

Kasam kisse kismat ke kaarnaame esse..
Lafz wafa hain asar juda hain..

Raaton ko aksr andhere ke beech..
Kho jata hoon main khud se bahut door..
Roshan kar de koi mere jajbaaton ko..
Jala de mujhko ya de de mera noor..

Bhuj gaya hoon tere dar par aakr..
Dua ke diye ko kabar par rakh diya maine..
Aasan nhi hota yoon har jaana..
Par jeetne ke tariko ko Hi mita diya maine..

Kai kosish kai sajish kai khawish ki dil ne..
Par hara ye kafir kismat ke jihad se
Rok lo mujhe Mar raha hoon mai
Aur duniya bol rahi hain ki kya jiye ho..

No comments:

Post a Comment