मेरा पन्ना

Saturday, March 5, 2016

Khatm

Aa chal mere dost khatam krte hain..
Qissa ye khudgarji ka khumar ka..
Khurchan ka khalish ka..
Kosish ka kasak ka..
Kismat ka kwaish ka..
Kurbat ka kudrat ka..
Kafir ka kiyarat ka..
Aa chal mere dost khatam karte hain..
Kissa ye khuraft ka kayamat ka..

Wo khuda khus nhi hua beshaq..
Hissa jo cheen liye usne..
Hamari ibadat ka inayat ka..
Aa chal mere dost khatam karte hain..
Dasstan ye khudyat ka riwayat ka..

Hum chhod rahe hain maidan ae Jung kyuki..
Lad kar jeete to kya mile.. ye ishq-e- Duniya
Mukaam na mila hame is muhabbat ka muskuraht ka..
Aa chal mere dost maafi lete hain ab..
Teri meri hasrat ka shikayt ka

Thursday, March 3, 2016

Dafan

Jindgi se chalte hain maut ki tarf..
Aur kehti hain duniya ki kya jiye ho.

Kasam kisse kismat ke kaarnaame esse..
Lafz wafa hain asar juda hain..

Raaton ko aksr andhere ke beech..
Kho jata hoon main khud se bahut door..
Roshan kar de koi mere jajbaaton ko..
Jala de mujhko ya de de mera noor..

Bhuj gaya hoon tere dar par aakr..
Dua ke diye ko kabar par rakh diya maine..
Aasan nhi hota yoon har jaana..
Par jeetne ke tariko ko Hi mita diya maine..

Kai kosish kai sajish kai khawish ki dil ne..
Par hara ye kafir kismat ke jihad se
Rok lo mujhe Mar raha hoon mai
Aur duniya bol rahi hain ki kya jiye ho..