Meri kuch tasveerin bachpan ki..
Jin mai muskura raha hoon main..
Na dar koi na koi haar ka gum..
Khaali haatho se bhi sab luta raha hoon main..
Meri kuch tasveerin bachpqn ki..
Jin main sapne saja raha hoon main..
Na Ghar ki fikar na duniya ka pata..
Nanhe se chere ko khila raha hoon main..
Meri kuch tasveerin bachpan ki..
Parindo ko uda raha hoon main..
Na shaq kahin na shikwa kisi se..
WO aayenge wapas sabko bata raha hoon main..
Meri kuch tasveerin bachpan ki..
Jin main jee raha hoon main..
Na hasrat koi na koi khawasih baaki..
Rang apne aasman main faila raha hoon main..
WO meri kuch tasveerin bachpan ki..
Ek baar fir ban jaaye haqiqat aaj...
Chala tej bahut door takal..
Khud ko tasveer main chhod aaya main..
Your best work so far..!! You are really maturing as a writer. Good luck and keep writing..!!
ReplyDelete