aasma fir mera hua, neela neela sa...
raasta jab mera hua, geela geela sa...
sitaron ke sath, aaj aayi fir raat...
ki chaand fir chamka,dheema dheema sa..
jahan fir mera hua, apna apna sa..
sach jab mera hua, sapna sapna sa..
diwaaron ke paar, aaj hui fir baat...
ki dhund jab chataa,halka halka sa...
saleeka fir mera hua juda juda sa..
bayan jab mera hua, sadka sadka sa...
isharoon ke sath,aaj hui fir baat..
ki jikr kuch aaya,sehma sehma sa..
purana kuch mera hua, naya naya sa...
yaraana jab mera hua, jawaan jawaan sa..
kiwaaron ke paar,aaj hui fir dastak..
ki yaad koi aaya, bhoola bhoola sa...
No comments:
Post a Comment