मेरा पन्ना

Sunday, February 19, 2012

to fir kya...

mana ki dard ho rha hain beshumaa....
mana ki sard ho rha hain mera jahan..
mana ki khusiyan ho rhi kurbaaan..
mana ki bheed main bhi hoon tanhaaa..

haan ye dard  main bhula dunga..
haan ye sard si barf pigla dunga...
haan ye  khushiyn fir aaengi..
haan ye bheed bhi apni.. ho jayegi..
lekin fir bhi na mile tu ..to fir kyaa....-2

to fir kyaaaa..to fir kya..
to fir kyaaaa .. -2.

mana ki ho gya tu khafaaa..
mana ki ho gyi kuch khata..
mana ki main hoon tujhsee judaaa.
mana ki hain darmiyann faasla...

hui kahfa to main mna bhi lunga...
hui khata jo main bna bhi lunga...
hua juda kyu ,na bhi agar kahu.
hua jo faasla ,wo main agar shau...
lekin fir bhi na mile tu to fir kya.-2.

to fir kyaaa...to fir kya..
to fir kyaaa...-2

aaj fir aaankh ye bhar gayi..
aaj fir raat ye tahar gayi...
aaj fir ho gya main tera..
aaj fir teri yaad meri ho gayi..

haan kal main muskura to dunga..
haan kal fir sunbh dekh paunga..
haan kal ho jaunga tujhse fir ajnabi..
haan kal teri yaad fir bhula jaunga...
lekin fir bhi na mile tu to fir kya-2
 
to fir kyaaa...to fir kya..
to fir kyaaa...2





No comments:

Post a Comment