Kis ko khole ye man apna..
Kis ko bole ye khawab tanha..
Haan hain mujhse khafa, pareshan mera Jahan..
Sab rahe khus kya hota hain bas Sapna..
Yu to kuch khoya nahi jo laya tha..
Phir bhi mila kuch essa Jo laga apna..
Kaise bhoolu main har wo lamha..
Kabhi tha har dilajeez aaj hua tanha..
Sach kaha tha kisi sayaane ne..
Dooba jo wo tara. Ye aag ka dariya..
Waqt ka nahi hisab, na hain ab jajbaat..
Raah thi galat ya chala mere saath tha gunaah..
Bahut rang hain yo to is duniya ke aagosh main..
Par fir bhi shyaah reh gaya mera Kamra..
Chand diwware tasweero se bhar paya tha..
Ki dundla gaya wo khoobsurat Jahan..
Socha karta hoon ki kabhi to samjhegi mujhe ye duniya..
Ye khet chug kar na ud jaaye waqt ki chidiya..
Tab tak...
Kis ko khole ye man apna.
Kis ko bole ye khawab tanha..