मेरा पन्ना

Saturday, May 21, 2016

Creation_21May16

Dhuaan nhi hota jab dil ka chirag jalta hain...
Bas roshan do log hote hain aur jahan jal jata hain

Sajde main lagayi hongi ajaan duniya ne bahut...
Bas yaad do log karte hain aur khuda mil jata hain..

Diwaaron main chinwa diya karte the ishq ko kabhi..
Kabhi sangemarmar ki diwaaron ka taj ban jata hain..

Yu to daulat kismat kudrat ke taraju hain bahut..
Is ishq ko tolo to jahan bik jata hain..

Karam ye mujh par rahe, kuch rahe na rahe
Use mujh par mujhe us par aitbaar rahe
.
Ki jab bhi aaye muhabbat ka jikar uske hotho par..
Ek mukurahat rahe aur mera naam rahe.