मेरा पन्ना

Wednesday, April 9, 2014

aasmaani sunheri shurkhiyaan


aasmaani sunheri shurkhiyaan, dhikti hain jab..
manjil ki chaah nhi, safar hi suhana hota hain..
beparwah begaani galtiyaan, hoti hain jab..
joothi koi wafa nhi, kafir bhi diwaana hota hain..

do kisse humne kya kahe,

sau baatain jamana bana leta hain..
kisi ke dil ka jaane kya, 
hame to apna haal na pata hota hain..

wo khaawb kya hamare choote kahin..

har koi usse apna fasaana bana leta hain..
mil jaate hain kuch is tarah se humse wo..
jaise shaam aur samundar ka kinara hota hain..

nakhush ho log,koi farak nhi hota..

jab apne dil ko sukoon ka ishara hota hain..
aasmaani sunheri shurkhiyaan, dhikti hain jab..
manjil ki chaah nhi, safar hi suhana hota hain..