मेरा पन्ना

Sunday, December 30, 2012

Be the part of Change...

Dear all,
We really need to change the mindset now, there are a lot of pages like mentioned below where girls and women are being insulted in terms of posts and comments. And after that they post on cases like "Damini" (moron Admins just for cash the case).
I request all of us to please report such pages and raise the voice against it. It may not change the scenario very soon but certainly will change the Ugly Mindset of people...
"report pages like this :

https://www.facebook.com/pages/Girls-Mobile-Number/154355178016226?fref=ts
and my post

Spread the Word !!

Thursday, December 27, 2012

more man..

more man baawawre se, more man..
kabhi kaare kabhi saaware se, more man..
kam sayaane, jyada baaware se more man..
mori hi na sune kyu more man..

seedhi seedhi raahon par aawaare se more man..
tapish main bhi bhahaorn se more man..
nam aaknhon, bedum khawaon se more man..
mori hi na sune kyu more man..

kabhi andhere main ujaare se more man..
kabhi ujaare main andhiyare se more man..
gum chupaaye, be wajha muskuraye se more man..
mori hi na sune kyu aakhir more man..

waqt ke sath ruke huye se more man..
fir bhi waqt ke aage se more man..
mori na sun ne wale more man..
apni bhi kyu na sunanye mohe more man..



Tuesday, December 11, 2012

mulakaat..

wo achanak jab dikhi thi mujhe..
chandini jaise aayi thi amawas ki raat..
yu to the khamosh the hum dono..
fir bhi hui thi kuch raaz ki baat..

jab mil gayin meri najar unse..
hui thi jaise najakat ki baat ..
yu to door the hum dono..
fir bhi lga jaise hain aas paas..

wo jab aaye the kareeb mere..
hui thi kayamat mere sath..
yu to hosh main tha main..
fir bhi kabu main nhi the jajbaat..


jab sath main wo chale the hum..
duniya jaise thi hamare saath..
yu to tanha the hum dono..
fir bhi mili thi bheed behisaab..

Sunday, December 2, 2012

aaj bas main hoon

aaj na sikwa koi..na koi sikayat baaki hain
aaj na pyaar kisi se.. na kisi se naarajigi hain
aaj na dar kisi ka... na kisi ki chaaplushi hain..
aaj to bas main hoon aur meri kahmoshi hain

aaj na hosh koi.. na koi madhoshi hian
aaj na dosh tera.. na meri galti hain..
aaj na sanjog koi.. na koi badnasibi hian..
aaj t bas main hoon aur meri kamoshi hain

aaj na gum koi.. na koi khushi hain..
aaj na yaad koi.. na koi mustaqbilishi hain
aaj na duniya anjaani.. na  pehchaani si hain..
aaj to bas main hoon aur meri khamoshi hain..

aaj na dosti kisi se.. na koi dushmani hain..
aaj na sarafat baak..i na baaki aawargi hain..
aaj na chinta kisi ki. .na baaki befikri hain
aaj to bas mian hoon aur meri khamoshi hain..