मेरा पन्ना

Sunday, October 21, 2012

Tera Naam

tere naam se nafrat hain mujhe..
tera naam mujhe tadpata hain...
ho jata hoon gumnaam main ...
tera naam jab jab aata hian...

tere naam se dil jalta hain mera....
tera naam mujhe sataata hain..
ho jata hoon badnaam main...
tera naam jab jab aata hain...

tere naam se lagta hain dar..
tera naam mujhe rulaata hain..
ho jata hoon benaam main..
tera naam jab jab aata hain...

tere naam se nafrat kyu hain mujhe..
tera naam mujhe kyu tadpata hain...
kho jata hoon tere naam main..
tera naam jab mere sath aata hain..

Nadaan hain mera Dil..

Photo Courtesy : Ton Abraham Photography
All rights reserved to actual owner
Subah ye sard hain fir bhi mera dil man jal rha hain...
kaisa hain ye suroor jo asar kar rha hain..
kefiyat ya shararat jo bhi samjh lo tum isse...
nadaan hain mera dil nadani kar rha hain...

kal shaam ek chera dekha tha meri aakhon ne..
kaisa hain ye ehsaas ki ab tak uska aqsk dikh rha hain...
tabiyat ya fitrat jo bhi samjh lo tum isse..
nadaan hain mera dil naadani kar rha hain...

vese to raste yaad rehte nhi aajkal mujhe...
kaisa hain ye rasta jis par khud se chal rha hain..
shikayat ya muhabbat jo bhi samjh lo tum isse...
nadaan hain mera dil naadani kar rha hain...

kuch roj se maine ki nhi hain maikashi...
kaisa hain fir ye nasha jo mujh par chad rha hain...
ibaadat ya najaakat jo bhi samjh lo tum isse...
ki nadaan  hain mera dil naadani kar rha hain...