मेरा पन्ना

Saturday, December 31, 2011

happy new year 2012

kai khusiyan...kai gum....kai yaad de gya..
ye jata hua saal kuch khwaoob de gya..
ho gayi khud se pehchan aur meri..
aur kuch naye logo ki pehchaan de gya...

reh gaya apna bahut kuch piche kahin..
lekin fir bhi sath nye armaan de gya..
keh gaya ki paane ko hain manjile aur abhi...
lekin fir bhi sath puraane mukaam de gya..

aane ko hain kal kuch nya...
bade hi shaan se wo nyi pehcahn de gaya..
bhool na payenge thuje jaate hue saal...
ki tu mujhe jeene ka ek aur saal de gaya..


Tuesday, November 22, 2011

just written...

akele is sahr main raahi ban aaya hoon main..
kuch sapne kuch yaadien kuch armaan laya hoon main...
jab jab dekhta hoon in anjaan rahoon ko main..
tab tab jaan pehchan wale kadam uthata hoon main..

ki pta hain yahan ka tareeka thoda alag sa hain..
par fir bhi apna ek saleeka laya hoon main..
ki pta hain hoon main ajnabi sabke liye..
par fir bhi apna ek hamsafar banane aaya hoon main..

log khete hain ki duriyan bhula deti hain riste..
par fir bhi duriyon se riste tamaam laya hoon main..
waqt ki ret mian chup gya hain kuch mera..
us ret ke badal ko hatane aaya hoon main..

haan yad mujhe bhi satati hain apno ki...
par kuch nayi yaad banane aaya hoon main..
ruk jaye koi sun le dadkan meri..
chand saanson ke sath sunane aaya hoon main..

Friday, October 7, 2011

found somewhere in net.......

dekh kaisi yeh mohbat ho gayi... Tujhe yaad bi karta hu or rota bi nahi, tujse baat bi karta hu or tu hota bi nahi... Itni baar dekhaa meri aakhein ne tujhe, sapno mein mulakaat bi karta hu or sota bi nahi... Kyu thaama tha yeh hath aise kabhi, jo chutta bi nahi or sath chal ta bi nahi.. Kitna lamba hai teri meri manjil ka yeh rasta, jo mil taa bi nahi or khatm hota bi nahi.. Dekh kaisi yeh mohbat ho gayi, tu jeet taa bi nahi... Mein haar taa bi nahi...

Monday, October 3, 2011

dedicated to someone lost......

aaj fir se sar se ek saaya chala gya.......
meri bachpan ka sahara chala gya....
jin chand logon ki duaao ka fakr tha mujhe.......
un main se ek aur hamraha chala gya......

mere bachpan ki yadon main nahi the wo
unke hone se mera bachpan khil gya .....
aakhe ro nahi paati hain kai baar....
kyuki na rone ka wo waada kar gya......

ham unse mil nahi paaye fir....
waqt essa kuch ishara kar gya.......
khud se nafrat ho gayi ab mujhe.......
na milne ka ye takaja kahl gya......

Saturday, September 17, 2011

kuch sawal......

sawal ye nahi ki hum kitno ko chate hain.......
baat ye hain ki tujhse nafrat nahi kar paate.........
swal ye nahi ki hum kis taraf chate hain......
baat ye hain ki rah se rukhsat nahi kar paate hain.......
sawl ye nahi ki kis waqt tujhe yad karte hain.....
baat ye hain ki us waqt kuch aur soch nahi paate...........
sawal ye nahi ki tujh se mil ya nahi..........
baat ye hain ki tujhse juda nahi ho paate...........
sawal ye nahi ki logo se milte nahi.....
baat ye hain ki tujhe doond nahi paate........
sawal ye nahi ki ye sawal uthe kyu hain......
baat ye hain ki jawawo main kuch nahi paate.

Monday, August 15, 2011

happy in de pen den ce day.....

dil se karna hoga desh ka sammaan.....
ki bekar na jaye saheedon ka balidaan......
aur rakhna hoga hame apne dilo main imaan.....
kyuki sirf kehne se hi nahi hota... "mera bharat mahaan".......

Friday, August 5, 2011

dedicated to "aam aadmi"....

chalna to seedha cha rha hain wo......
par ye raste mud rahe hain kyu?
jis taraf manjil hoti hain duniya ki.....
wo bhi us taraf hi chale kyu??

haan, mana ki paani hain zindgi.....
par wo besabab bahe kyu?
ki ek joka aata hain hawa ka.....
aur use uda le jata hain kyu??

khawab khawishe tammana hain itni.....
ki neend main wo bhi jagta hain yu..
apne sapno ko kar darkinar...
duniya ke dikhaye sapne dekhta hain kyu??

fir bhi gila nahi hain use kisi se...
ki khud ko aam hi samjhta hain yu...
doondta hain wo koi aisa...
jo kahe "aa sath tere main chalu"........

Sunday, July 17, 2011

whenever it rained in my childhood days, i like it and feel it with soul............but now at pune this showwers are making me upset and rains irritate me...............even i know that the rain is not culprit of it......it is happening because there is some fire at my inner and as it is not converting into energy,it is making uneccesary heat that burns up the drops of rain..........but i know that i will surly get that "coolness" at my inner and at my aura.........


aaj barkha se bhi dushmani si lag rahi hain.............
kyu ye mujhe ajnabi si lag rahi hain........
girti hui boondein paani ki.....
yu mujhe rookhi si lag rahi hain??

mana ki duniya diwani hain is mausam ki.......
par hame to vahi khalish kahl rahi hain.....
jis jahan main beehge the pheli baar.....
aaj usi barish ki kami si lag rahi hain.......

ILP hyderabad - 29/04/2011 - 08:03 pm

unki aankhon ki neend aaj bhi jagati hain mujhe..
aaj bhi unke spno ko dekhta hoon main...
kyu uski yaad mujse bhooli nahi jaati...
gumshuda hoon main, koi unse mila de mujhe...

yu to sath sara zamana liye firta hoon...
lekin phir bhi tanhainyan mil jaati hain mujhe...
khawoon ko chipaye firta hoon khud se...
kyuki khawoon main basaye firta hoon tujhe...

ye safar sirf manjil bhar ki dooriyan nahi...
manjilo se aage doondta hoon tujhe...
jab kabhi kho jaata hoon khud main...
tab jaane kahan se door lata hoon tujhe...