मेरा पन्ना

Tuesday, September 20, 2016

Aaj sirhaane karke mujhe..

Aaj sirhaane karke mujhe..
Mere khaawb so gaye..
Aaj sirhaane karke mujhe..
Mere khaawb so gaye..

Beadab the Jo parinde..
Wo sajinda ho gaye..
Tabassur ke tohmat thi essi..
Hum tanha ho gaye...

Aaj sirhaane karke mujhe⁠⁠⁠⁠..

darffat hain daastaan-e- duaan..
ki dawa-e-dil hain ye..
jo bhi hain mola qasam..
hum jinda ho gaye..

aaj sirhaane kar ke mujhe..

kahin kisi roj aasman main niklega chaand..
is intzaar main hum shaam se subah ho gaye..
dariya se ghere khayalon main hum..
duniya se sharminda ho gaye..

aaj sirhaane kar ke mujhe..

asal kya hain, aur dhakhal kyaa..
lazim aur ilzam ke beech.. peybanda ho gaye..
aaj sirhaane kar ke mujhe fir..
Mere khaawb so gaye..

Saturday, August 13, 2016

परछाई

जब जब देखता हूँ परछाई अपनी
फक्र होता हैं की मैं इंसान हो गया
रंग रूप रिश्ते राग़ छोड़कर
सब्र होता हैं की मैं इंसान हो गया

ये परछाई होती हैं पहचान सच्ची
बाकी सब तो बस मेहमान हो गया
लेना देना नही होता इसको कुछ
ये तो रौशनी के आगे का जहां हो गया

आप चलो चल सको जितना दूर
की कंधो पर सवार गुमां हो गया
डर फटकार संसार की चिंता
पैदा हुआ था इंसान हैवान हो गया

क्यू सोचे इस रीत के बारे मैं
जिस रीत से रूह परेशां हो गया
बस आवाज ही आवाज हैं धरख्तों के बीच
परिंदे उड़ गए जंगल वीरान हो गया

काश दौड़ना छोड़ देते हम अंधी दौड़ ये
जिसमें विश्वास अपना अन्ध्विस्वास हो गया
रुक जाये कभी और देख ले बस परछाई अपनी
जिस खोजा तिन पाईया तू भगवान् हो गया

Saturday, July 30, 2016

Khalish

Kahin kisi roj dhuye aur dafan main fana ho jaynge hum tum...
Fir kis baat ka bair kis baat ki shikayat rakhna..
Chand kuch alfaz reh jaynge yaadien bankar..
Fir kis rasham ka kis reet ki riwayat rakhna..
Kahin door ho gya khuda bhi jahan se apne..
Fir kis baat ke masjid kis baat ki tijarat rakhna..

Saturday, May 21, 2016

Creation_21May16

Dhuaan nhi hota jab dil ka chirag jalta hain...
Bas roshan do log hote hain aur jahan jal jata hain

Sajde main lagayi hongi ajaan duniya ne bahut...
Bas yaad do log karte hain aur khuda mil jata hain..

Diwaaron main chinwa diya karte the ishq ko kabhi..
Kabhi sangemarmar ki diwaaron ka taj ban jata hain..

Yu to daulat kismat kudrat ke taraju hain bahut..
Is ishq ko tolo to jahan bik jata hain..

Karam ye mujh par rahe, kuch rahe na rahe
Use mujh par mujhe us par aitbaar rahe
.
Ki jab bhi aaye muhabbat ka jikar uske hotho par..
Ek mukurahat rahe aur mera naam rahe.

Saturday, March 5, 2016

Khatm

Aa chal mere dost khatam krte hain..
Qissa ye khudgarji ka khumar ka..
Khurchan ka khalish ka..
Kosish ka kasak ka..
Kismat ka kwaish ka..
Kurbat ka kudrat ka..
Kafir ka kiyarat ka..
Aa chal mere dost khatam karte hain..
Kissa ye khuraft ka kayamat ka..

Wo khuda khus nhi hua beshaq..
Hissa jo cheen liye usne..
Hamari ibadat ka inayat ka..
Aa chal mere dost khatam karte hain..
Dasstan ye khudyat ka riwayat ka..

Hum chhod rahe hain maidan ae Jung kyuki..
Lad kar jeete to kya mile.. ye ishq-e- Duniya
Mukaam na mila hame is muhabbat ka muskuraht ka..
Aa chal mere dost maafi lete hain ab..
Teri meri hasrat ka shikayt ka