akele is sahr main raahi ban aaya hoon main..
kuch sapne kuch yaadien kuch armaan laya hoon main...
jab jab dekhta hoon in anjaan rahoon ko main..
tab tab jaan pehchan wale kadam uthata hoon main..
ki pta hain yahan ka tareeka thoda alag sa hain..
par fir bhi apna ek saleeka laya hoon main..
ki pta hain hoon main ajnabi sabke liye..
par fir bhi apna ek hamsafar banane aaya hoon main..
log khete hain ki duriyan bhula deti hain riste..
par fir bhi duriyon se riste tamaam laya hoon main..
waqt ki ret mian chup gya hain kuch mera..
us ret ke badal ko hatane aaya hoon main..
haan yad mujhe bhi satati hain apno ki...
par kuch nayi yaad banane aaya hoon main..
ruk jaye koi sun le dadkan meri..
chand saanson ke sath sunane aaya hoon main..
Tuesday, November 22, 2011
Friday, October 7, 2011
found somewhere in net.......
dekh kaisi yeh mohbat ho gayi... Tujhe yaad bi karta hu or rota bi nahi, tujse baat bi karta hu or tu hota bi nahi... Itni baar dekhaa meri aakhein ne tujhe, sapno mein mulakaat bi karta hu or sota bi nahi... Kyu thaama tha yeh hath aise kabhi, jo chutta bi nahi or sath chal ta bi nahi.. Kitna lamba hai teri meri manjil ka yeh rasta, jo mil taa bi nahi or khatm hota bi nahi.. Dekh kaisi yeh mohbat ho gayi, tu jeet taa bi nahi... Mein haar taa bi nahi...
Monday, October 3, 2011
dedicated to someone lost......
aaj fir se sar se ek saaya chala gya.......
meri bachpan ka sahara chala gya....
jin chand logon ki duaao ka fakr tha mujhe.......
un main se ek aur hamraha chala gya......
mere bachpan ki yadon main nahi the wo
unke hone se mera bachpan khil gya .....
aakhe ro nahi paati hain kai baar....
kyuki na rone ka wo waada kar gya......
ham unse mil nahi paaye fir....
waqt essa kuch ishara kar gya.......
khud se nafrat ho gayi ab mujhe.......
na milne ka ye takaja kahl gya......
Saturday, September 17, 2011
kuch sawal......
sawal ye nahi ki hum kitno ko chate hain.......
baat ye hain ki tujhse nafrat nahi kar paate.........
swal ye nahi ki hum kis taraf chate hain......
baat ye hain ki rah se rukhsat nahi kar paate hain.......
sawl ye nahi ki kis waqt tujhe yad karte hain.....
baat ye hain ki us waqt kuch aur soch nahi paate...........
sawal ye nahi ki tujh se mil ya nahi..........
baat ye hain ki tujhse juda nahi ho paate...........
sawal ye nahi ki logo se milte nahi.....
baat ye hain ki tujhe doond nahi paate........
sawal ye nahi ki ye sawal uthe kyu hain......
baat ye hain ki jawawo main kuch nahi paate.
Monday, August 15, 2011
happy in de pen den ce day.....
dil se karna hoga desh ka sammaan.....
ki bekar na jaye saheedon ka balidaan......
aur rakhna hoga hame apne dilo main imaan.....
kyuki sirf kehne se hi nahi hota... "mera bharat mahaan".......
Subscribe to:
Posts (Atom)