मेरा पन्ना

Sunday, February 19, 2012

to fir kya...

mana ki dard ho rha hain beshumaa....
mana ki sard ho rha hain mera jahan..
mana ki khusiyan ho rhi kurbaaan..
mana ki bheed main bhi hoon tanhaaa..

haan ye dard  main bhula dunga..
haan ye sard si barf pigla dunga...
haan ye  khushiyn fir aaengi..
haan ye bheed bhi apni.. ho jayegi..
lekin fir bhi na mile tu ..to fir kyaa....-2

to fir kyaaaa..to fir kya..
to fir kyaaaa .. -2.

mana ki ho gya tu khafaaa..
mana ki ho gyi kuch khata..
mana ki main hoon tujhsee judaaa.
mana ki hain darmiyann faasla...

hui kahfa to main mna bhi lunga...
hui khata jo main bna bhi lunga...
hua juda kyu ,na bhi agar kahu.
hua jo faasla ,wo main agar shau...
lekin fir bhi na mile tu to fir kya.-2.

to fir kyaaa...to fir kya..
to fir kyaaa...-2

aaj fir aaankh ye bhar gayi..
aaj fir raat ye tahar gayi...
aaj fir ho gya main tera..
aaj fir teri yaad meri ho gayi..

haan kal main muskura to dunga..
haan kal fir sunbh dekh paunga..
haan kal ho jaunga tujhse fir ajnabi..
haan kal teri yaad fir bhula jaunga...
lekin fir bhi na mile tu to fir kya-2
 
to fir kyaaa...to fir kya..
to fir kyaaa...2





Saturday, December 31, 2011

happy new year 2012

kai khusiyan...kai gum....kai yaad de gya..
ye jata hua saal kuch khwaoob de gya..
ho gayi khud se pehchan aur meri..
aur kuch naye logo ki pehchaan de gya...

reh gaya apna bahut kuch piche kahin..
lekin fir bhi sath nye armaan de gya..
keh gaya ki paane ko hain manjile aur abhi...
lekin fir bhi sath puraane mukaam de gya..

aane ko hain kal kuch nya...
bade hi shaan se wo nyi pehcahn de gaya..
bhool na payenge thuje jaate hue saal...
ki tu mujhe jeene ka ek aur saal de gaya..


Tuesday, November 22, 2011

just written...

akele is sahr main raahi ban aaya hoon main..
kuch sapne kuch yaadien kuch armaan laya hoon main...
jab jab dekhta hoon in anjaan rahoon ko main..
tab tab jaan pehchan wale kadam uthata hoon main..

ki pta hain yahan ka tareeka thoda alag sa hain..
par fir bhi apna ek saleeka laya hoon main..
ki pta hain hoon main ajnabi sabke liye..
par fir bhi apna ek hamsafar banane aaya hoon main..

log khete hain ki duriyan bhula deti hain riste..
par fir bhi duriyon se riste tamaam laya hoon main..
waqt ki ret mian chup gya hain kuch mera..
us ret ke badal ko hatane aaya hoon main..

haan yad mujhe bhi satati hain apno ki...
par kuch nayi yaad banane aaya hoon main..
ruk jaye koi sun le dadkan meri..
chand saanson ke sath sunane aaya hoon main..

Friday, October 7, 2011

found somewhere in net.......

dekh kaisi yeh mohbat ho gayi... Tujhe yaad bi karta hu or rota bi nahi, tujse baat bi karta hu or tu hota bi nahi... Itni baar dekhaa meri aakhein ne tujhe, sapno mein mulakaat bi karta hu or sota bi nahi... Kyu thaama tha yeh hath aise kabhi, jo chutta bi nahi or sath chal ta bi nahi.. Kitna lamba hai teri meri manjil ka yeh rasta, jo mil taa bi nahi or khatm hota bi nahi.. Dekh kaisi yeh mohbat ho gayi, tu jeet taa bi nahi... Mein haar taa bi nahi...

Monday, October 3, 2011

dedicated to someone lost......

aaj fir se sar se ek saaya chala gya.......
meri bachpan ka sahara chala gya....
jin chand logon ki duaao ka fakr tha mujhe.......
un main se ek aur hamraha chala gya......

mere bachpan ki yadon main nahi the wo
unke hone se mera bachpan khil gya .....
aakhe ro nahi paati hain kai baar....
kyuki na rone ka wo waada kar gya......

ham unse mil nahi paaye fir....
waqt essa kuch ishara kar gya.......
khud se nafrat ho gayi ab mujhe.......
na milne ka ye takaja kahl gya......