पर तेरे इंतज़ार पर मेरा हक़ आज भी हैं
तू ना कहे ना मिले ना लिखे मुझे कभी
पर तेरे खुमार पर मेरा हक़ आज भी हैं.
आज भी होगा उस राह में मेरा ख़ुदा
जिस राह में तेरा निशाँ आज भी हैं
जो ना था तेरे मेरे दुनिया के हिस्से
उस क़िस्से का नशा आज भी हैं.
Kis ko khole ye man apna..
Kis ko bole ye khawab tanha..
Haan hain mujhse khafa, pareshan mera Jahan..
Sab rahe khus kya hota hain bas Sapna..
Yu to kuch khoya nahi jo laya tha..
Phir bhi mila kuch essa Jo laga apna..
Kaise bhoolu main har wo lamha..
Kabhi tha har dilajeez aaj hua tanha..
Sach kaha tha kisi sayaane ne..
Dooba jo wo tara. Ye aag ka dariya..
Waqt ka nahi hisab, na hain ab jajbaat..
Raah thi galat ya chala mere saath tha gunaah..
Bahut rang hain yo to is duniya ke aagosh main..
Par fir bhi shyaah reh gaya mera Kamra..
Chand diwware tasweero se bhar paya tha..
Ki dundla gaya wo khoobsurat Jahan..
Socha karta hoon ki kabhi to samjhegi mujhe ye duniya..
Ye khet chug kar na ud jaaye waqt ki chidiya..
Tab tak...
Kis ko khole ye man apna.
Kis ko bole ye khawab tanha..
Roshni ke chadar par bich gayin parchai..
Kabhi gheri kabhi halki..
Ye parchai darpan hain is man ka..
Thodi apni baaki sab ki...
Bahut door tak saath chlti rahi mere..
Kabhi daudi kabhi sehmi..
Rang nhi roop nhi bas khamoshi..
Kabhi asli kabhi nakli..
Kuch patte hawa main udte nhi ooper...
Jameen ka pyaar Jo itna hota hain
Khudai mil jaaye ya mile riyawat..
Ishq main sab kuch fitna hota hain..
Chal ruk ja ab thoda.. kar le sab se tanhai..
Dhyaan de aur samjh le.. kya kehti hain parchai
Kahin kisi roj dhuye aur dafan main fana ho jaynge hum tum...
Fir kis baat ka bair kis baat ki shikayat rakhna..
Chand kuch alfaz reh jaynge yaadien bankar..
Fir kis rasham ka kis reet ki riwayat rakhna..
Kahin door ho gya khuda bhi jahan se apne..
Fir kis baat ke masjid kis baat ki tijarat rakhna..
Dhuaan nhi hota jab dil ka chirag jalta hain...
Bas roshan do log hote hain aur jahan jal jata hain
Sajde main lagayi hongi ajaan duniya ne bahut...
Bas yaad do log karte hain aur khuda mil jata hain..
Diwaaron main chinwa diya karte the ishq ko kabhi..
Kabhi sangemarmar ki diwaaron ka taj ban jata hain..
Yu to daulat kismat kudrat ke taraju hain bahut..
Is ishq ko tolo to jahan bik jata hain..
Karam ye mujh par rahe, kuch rahe na rahe
Use mujh par mujhe us par aitbaar rahe
.
Ki jab bhi aaye muhabbat ka jikar uske hotho par..
Ek mukurahat rahe aur mera naam rahe.
Aa chal mere dost khatam krte hain..
Qissa ye khudgarji ka khumar ka..
Khurchan ka khalish ka..
Kosish ka kasak ka..
Kismat ka kwaish ka..
Kurbat ka kudrat ka..
Kafir ka kiyarat ka..
Aa chal mere dost khatam karte hain..
Kissa ye khuraft ka kayamat ka..
Wo khuda khus nhi hua beshaq..
Hissa jo cheen liye usne..
Hamari ibadat ka inayat ka..
Aa chal mere dost khatam karte hain..
Dasstan ye khudyat ka riwayat ka..
Hum chhod rahe hain maidan ae Jung kyuki..
Lad kar jeete to kya mile.. ye ishq-e- Duniya
Mukaam na mila hame is muhabbat ka muskuraht ka..
Aa chal mere dost maafi lete hain ab..
Teri meri hasrat ka shikayt ka
Jindgi se chalte hain maut ki tarf..
Aur kehti hain duniya ki kya jiye ho.
Kasam kisse kismat ke kaarnaame esse..
Lafz wafa hain asar juda hain..
Raaton ko aksr andhere ke beech..
Kho jata hoon main khud se bahut door..
Roshan kar de koi mere jajbaaton ko..
Jala de mujhko ya de de mera noor..
Bhuj gaya hoon tere dar par aakr..
Dua ke diye ko kabar par rakh diya maine..
Aasan nhi hota yoon har jaana..
Par jeetne ke tariko ko Hi mita diya maine..
Kai kosish kai sajish kai khawish ki dil ne..
Par hara ye kafir kismat ke jihad se
Rok lo mujhe Mar raha hoon mai
Aur duniya bol rahi hain ki kya jiye ho..
Kuch toot to raha hain tanha tanha..
Dhuaan bhi uth hi gaya,jalte jalte
Ashq udaas nahi,naraj hain khayaalon se..
Baha dete hain Jo inko,halke halke..
Mere jehan main jinda hain saare wo din..
Jo na beete the suraj ke sang dhalte dhalte..
Muqadar ki baat kahe ye isse karamat khud ki,aaina bhi toot gaya takte takte..
Duaan ya dhuaan hi mila sajde main mujhe..
Khaawab sach honge kabhi, lamhe lamhe..
Gair laage ye jamana to kya hua,apne lagte hain wo taare Jo aasma main chamke..
Door jaaye koi kitna bhi par door na ja paaye..
Chaand hain ya ishq mera Jo raaton ko damke..
Kuch toot to raha hain, tanha tanha..
Dhuaan bhi uth Hi gaya, jalte jalte..
Jab bhi mila ek ujaala paani se firse..
Rang bhikhar gaye fijaaon main,ujle ujle..
Kya kahe apni bisat ishq ke shatranj main..
Wajir kahin maare gaye yahan pyaadon se, lamhe lamhe..
Kuch toot to raha hain,tanha tanha..
Dhuaan bhi uth Hi gaya,jalte jalte..